BCA Kya hai aur kaise kare

BCA Kya Hai? – 

BCA Ka full form Bachelor of computer application hota hai Ye software engineering ka hi ek course hai. Jo ise karta hai wo software engineer ke field me jata hai. Isme bahut jyada rojgaar hai. Isme English se full course hota hai.

BCA ko computer ke kshetra ke liye taiyar kiya jata hai. Isme 100 % computer hi hota hai jo ki english me rahta hai. Is liye ye course ke liye aapko English aana jaruri hai aur sath computer me ruchi honi chahiye.

Yah ek professional digri course hai. BCA Course 3 year ka hota hai. Ye technology ki filed me jata hai. BCA Course kisi bhi Government college ya fir private college se karna padega.

BCA course karne ke liye 12th me 45% se jyada mark lana jaruri hai. Agar apke 45% se 12th me kam aaye hai to aapko admission nhi milega. Ye course karne ke liye aapko ye jaruri nhi hai ki aap science aur liye ho isko commerce aur art wale bhi kar sakte hai. Lekin aapki University science wale University se alag rahegi. Art walo ke liye University bahut kam hoti hai.

BCA Course fees – 

Aapke ye bta de ki Government college me fees bahut kam aur private college bahut jyada fees lagti isme kafi jyada paise ka antar hota hai.

Government college me 15000 – 20000 per year lagta hai. Aur private college me 45000 – 50000 per year lagti hai. Aur private college me alag alag fees lagti hai according to university.

BCA me kon se subject padhege-

BCA me aapko computer se related hi padhya jayega jisse aap cumputer ki field me achha pradarsharn kar paye aur isme website degign karna shikhayege.

1. Visual basic

2. Organizational behavior

3. System analysis & Design

4. C Programing

5. Computer Fundamentals

6. Computer Laboratory & practical work

Qualification –

BCA karne ke liye aapko 12 th pass hone ke sath sath 45% se jyada hona jaruri hai. Agar isse kam hai to aapko admission nhi milega. Aur jyadatar University 12th science side wale ko hi leti hai. Jyada tar college science aur math ya fir biology se hona jaruri hota hai. Is liye aap 12th me science side hi rahe.

Aapki age 17 years se jyada honi chahiye.

Aapko computer se related subject me interest hona chahiye.

Aapka exam me achha pradarshan hona bahut jaruri hai.

Aur sabse important baat ye ki aapko English aana bahut jaruri hai kyoki iske sare subject English me hi rahege.

Job after doing BCA –

Agar aapne BCA me achhe mark se pass ho gye to aapko job ki koi kami nhi hogi.

BCA karne ke baad aapke pass bahut sare job rahege jinhe aap karke kafi jyada paise kama sakte hai.

Agar aap job nhi karna chahte to aap khud ka business chala sakte hai. Aap apni khud ki company khol kar usme web design, web development, software development etc. Kam kara sakte hai aur kafi jyada paise kama sakte hai. Isme paisa to bahut hai lekin isme admission me paisa bhi lagta hai aur dimak bhi agar aapka dimak kam kar gya aur aapne kafi jyada mehnat ki to फल to meetha hoga hi.

Leave a Comment